ajib lagta hai yunhi bichha hua bistar
ajiib lagtā hai yūñhī bichhā huā bistar
ye ek umr se ḳhālī paḌā huā bistar
sunā rahā hai kahānī hameñ makīnoñ kī
makāñ ke saath ye aadhā jalā huā bistar
na-jāne kaun sā lamha binā-e-hijrat ho
maiñ kholtā hī nahīñ huuñ bañdhā huā bistar
udāsiyāñ na shikan-dar-shikan nazar ātīñ
tire vajūd se hotā bharā huā bistar
uḌā rahā hai hamārī mohabbatoñ kā mazāq
ye ek-dūje se haT kar kiyā huā bistar
ajib lagta hai yunhi bichha hua bistar
ye ek umr se KHali paDa hua bistar
suna raha hai kahani hamein makinon ki
makan ke sath ye aadha jala hua bistar
na-jaane kaun sa lamha bina-e-hijrat ho
main kholta hi nahin hun bandha hua bistar
udasiyan na shikan-dar-shikan nazar aatin
tere wajud se hota bhara hua bistar
uDa raha hai hamari mohabbaton ka mazaq
ye ek-duje se haT kar kiya hua bistar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.