ajib shaKHs hai pahle mujhe hansata hai
ajiib shaḳhs hai pahle mujhe hañsātā hai
phir is ke ba.ad bahut der tak rulātā hai
vo bevafā hai hamesha hī dil dukhātā hai
magar ye kyā ki vahī ek ham ko bhātā hai
vo hosh gosh kā insāñ hai phir bhī sahrā meñ
kisī divāne kī sūrat sadā lagātā hai
ḳhizar to aate nahīñ haiñ mire ḳharābe meñ
ye kaun hai jo mujhe rāsta dikhātā hai
har ek raat kahīñ duur bhaag jaatā huuñ
har ek sub.h koī mujh ko khīñch laatā hai
kabhī vo mujh ko uḌātā hai āsmānoñ meñ
kabhī zamīn pe lā kar mujhe girātā hai
ajib shaKHs hai pahle mujhe hansata hai
phir is ke baad bahut der tak rulata hai
wo bewafa hai hamesha hi dil dukhata hai
magar ye kya ki wahi ek hum ko bhata hai
wo hosh gosh ka insan hai phir bhi sahra mein
kisi diwane ki surat sada lagata hai
KHizar to aate nahin hain mere KHarabe mein
ye kaun hai jo mujhe rasta dikhata hai
har ek raat kahin dur bhag jata hun
har ek subh koi mujh ko khinch lata hai
kabhi wo mujh ko uData hai aasmanon mein
kabhi zamin pe la kar mujhe giraata hai
- Book : Aank Mein Luknat (Pg. 76)
- Author : Ghazanfar
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.