aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ana ne TuT ke kuchh faisla kiya hi nahin

Ibrahim Ashk

ana ne TuT ke kuchh faisla kiya hi nahin

Ibrahim Ashk

MORE BYIbrahim Ashk

    anā ne TuuT ke kuchh faisla kiyā nahīñ

    bayān apnā kabhī mudda.ā kiyā nahīñ

    har ek shaḳhs ko insān rakhā ham ne

    ki aadmī ko nazar meñ ḳhudā kiyā nahīñ

    bas ek baar toḌā jahāñ ne ahd-e-vafā

    kisī se ham ne phir ahd-e-vafā kiyā nahīñ

    ka.ī dishāoñ se guzrā hai kārvān-e-hayāt

    Thahar ke dil ko kahīñ mubtalā kiyā nahīñ

    pahāḌ zulm-o-sitam ke hañsī meñ kaaT diye

    adā-e-nāz ki koī gila kiyā nahīñ

    chhuā jise bhī vahī lafz ban gayā tārīḳh

    ki be-asar koī jumla adā kiyā nahīñ

    tamām umr sañvārā ġhazal duniyā ko

    ki 'ashk' ham ne kuchh is ke sivā kiyā nahīñ

    ana ne TuT ke kuchh faisla kiya hi nahin

    bayan apna kabhi muddaa kiya hi nahin

    har ek shaKHs ko insan hi rakha hum ne

    ki aadmi ko nazar mein KHuda kiya hi nahin

    bas ek bar hi toDa jahan ne ahd-e-wafa

    kisi se hum ne phir ahd-e-wafa kiya hi nahin

    kai dishaon se guzra hai karwan-e-hayat

    Thahar ke dil ko kahin mubtala kiya hi nahin

    pahaD zulm-o-sitam ke hansi mein kaT diye

    ada-e-naz ki koi gila kiya hi nahin

    chhua jise bhi wahi lafz ban gaya tariKH

    ki be-asar koi jumla ada kiya hi nahin

    tamam umr sanwara ghazal ki duniya ko

    ki 'ashk' hum ne kuchh is ke siwa kiya hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now