anasir ki ghani zanjir hai
anāsir kī ghanī zanjīr hai
so ye hastī kī ik ta.abīr hai
milā virse meñ dard-e-dil mujhe
ye mere baap kī jāgīr hai
pighal jā.egā parbat sañg kyā
mirī aahoñ meñ vo tāsīr hai
kahīñ rāñjhā, kahīñ majnūñ huā
vajūd-e-ishq ālamgīr hai
vahī parvez kī sharteñ hanūz
vahī tesha hai, jū-e-shīr hai
surūr o ġham hai kyā 'ḳhālid'-miyāñ
kitāb-e-zīst kī tafsīr hai
anasir ki ghani zanjir hai
so ye hasti ki ek tabir hai
mila wirse mein dard-e-dil mujhe
ye mere bap ki jagir hai
pighal jaega parbat sang kya
meri aahon mein wo tasir hai
kahin ranjha, kahin majnun hua
wajud-e-ishq aalamgir hai
wahi parwez ki sharten hanuz
wahi tesha hai, ju-e-shir hai
surur o gham hai kya 'KHalid'-miyan
kitab-e-zist ki tafsir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.