Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andheri bastiyan raushan manare Dub jaenge

Ali Akbar Abbas

andheri bastiyan raushan manare Dub jaenge

Ali Akbar Abbas

MORE BYAli Akbar Abbas

    añdherī bastiyāñ raushan manāre Duub jā.eñge

    zamīñ rotī rahī to shahr saare Duub jā.eñge

    jhulas deñgī jo sahrā.ī havā.eñ reshmī saa.e

    dhueñ ke zahr meñ rañgīñ nazāre Duub jā.eñge

    abhī se kashtiyāñ sab sāhiloñ samt ruḳh moḌeñ

    ki jab tūfān aayā phir ishāre Duub jā.eñge

    baḌhegī un lau koī agar sīñche harārat se

    barastī barf meñ saare sharāre Duub jā.eñge

    yūñhī palte rahe gar hasht-pā is jhiil tah meñ

    kisī din sat.h par hañste shikāre Duub jā.eñge

    fareb-e-māh-o-anjum se nikal jaa.eñ to achchhā hai

    zarā sūraj ne karvaT ye taare Duub jā.eñge

    chaTānoñ par kareñ kanda nishānī apne hone

    sunahre kāġhazoñ ke goshvāre Duub jā.eñge

    andheri bastiyan raushan manare Dub jaenge

    zamin roti rahi to shahr sare Dub jaenge

    jhulas dengi jo sahrai hawaen reshmi sae

    dhuen ke zahr mein rangin nazare Dub jaenge

    abhi se kashtiyan sab sahilon ki samt ruKH moDen

    ki jab tufan aaya phir ishaare Dub jaenge

    baDhegi un ki lau koi agar sinche hararat se

    barasti barf mein sare sharare Dub jaenge

    yunhi palte rahe gar hasht-pa is jhil ki tah mein

    kisi din sath par hanste shikare Dub jaenge

    fareb-e-mah-o-anjum se nikal jaen to achchha hai

    zara suraj ne karwaT li ye tare Dub jaenge

    chaTanon par karen kanda nishani apne hone ki

    sunahre kaghazon ke goshware Dub jaenge

    Source :
    • Book : Ber Aab e Neel (Pg. 61)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now