andheri raat hai rasta sujhai de to chalen
añdherī raat hai rasta sujhā.ī de to chaleñ
sar-e-falak koī taara dikhā.ī de to chaleñ
ruke haiñ yuuñ ki salāsil paḌe haiñ paañv meñ
zamīn band-e-vafā se rihā.ī de to chaleñ
kisī taraf se to koī bulāvā aa jaa.e
koī sadā sar-e-mahshar sunā.ī de to chaleñ
safar pe nikleñ magar samt kī ḳhabar to mile
koī kiran koī jugnū dikhā.ī de to chaleñ
abhī to sar pe kaḌī dopahar kā pahra hai
shafaq zamīn ko rañg-e-hinā.ī de to chaleñ
andheri raat hai rasta sujhai de to chalen
sar-e-falak koi tara dikhai de to chalen
ruke hain yun ki salasil paDe hain panw mein
zamin band-e-wafa se rihai de to chalen
kisi taraf se to koi bulawa aa jae
koi sada sar-e-mahshar sunai de to chalen
safar pe niklen magar samt ki KHabar to mile
koi kiran koi jugnu dikhai de to chalen
abhi to sar pe kaDi dopahar ka pahra hai
shafaq zamin ko rang-e-hinai de to chalen
- Book : Pakistani Adab (Pg. 683)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.