andheron mein ujale kho rahe hain
añdheroñ meñ ujāle kho rahe haiñ
nagar ke diip maddham ho rahe haiñ
havā meñ uḌ rahī haiñ surḳh chīleñ
kabūtar ghoñsloñ meñ so rahe haiñ
bahar jānib ta'affun baḌh rahā hai
anokhī fasl dahqāñ bo rahe haiñ
'ajab armāñ hai tā'mīr-e-makāñ kā
ka.ī sadiyoñ se patthar Dho rahe haiñ
sar-e-koh-e-tamannā kaun pahuñche
purāne zaḳhm ab tak dho rahe haiñ
aTā hai shahr bārūdī dhueñ se
saḌak par chand bachche ro rahe haiñ
na paḌne dī anā par dhuul 'rāsiḳh'
sarāb-e-zar meñ barsoñ go rahe haiñ
andheron mein ujale kho rahe hain
nagar ke dip maddham ho rahe hain
hawa mein uD rahi hain surKH chilen
kabutar ghonslon mein so rahe hain
bahar jaanib ta'affun baDh raha hai
anokhi fasl dahqan bo rahe hain
'ajab arman hai ta'mir-e-makan ka
kai sadiyon se patthar Dho rahe hain
sar-e-koh-e-tamanna kaun pahunche
purane zaKHm ab tak dho rahe hain
aTa hai shahr barudi dhuen se
saDak par chand bachche ro rahe hain
na paDne di ana par dhul 'rasiKH'
sarab-e-zar mein barson go rahe hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 309)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.