andheron se mera rishta bahut hai
añdheroñ se mirā rishta bahut hai
maiñ jugnūñ huuñ mujhe dikhtā bahut hai
vatan ko chhoḌ kar hargiz na jaanā
muhājir aañkh meñ chubhtā bahut hai
ḳhushī se us kī tum dhoka na khānā
pareshānī meñ vo hañstā bahut hai
kisī mausam kī fitrat jānñe ko
shajar kā ek hī pattā bahut hai
mohabbat kā patā detī haiñ āñkheñ
zabāñ se vo kahāñ khultā bahut hai
miyāñ us shaḳhs se hoshiyār rahnā
sabhī se jhuk ke jo miltā bahut hai
andheron se mera rishta bahut hai
main jugnun hun mujhe dikhta bahut hai
watan ko chhoD kar hargiz na jaana
muhajir aankh mein chubhta bahut hai
KHushi se us ki tum dhoka na khana
pareshani mein wo hansta bahut hai
kisi mausam ki fitrat jaanne ko
shajar ka ek hi patta bahut hai
mohabbat ka pata deti hain aankhen
zaban se wo kahan khulta bahut hai
miyan us shaKHs se hoshiyar rahna
sabhi se jhuk ke jo milta bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.