anjuman se mujhe is tarah uThane wale
anjuman se mujhe is tarah uThāne vaale
uñgliyāñ tujh pe uThā.eñge zamāne vaale
haa.e kuchh tujh ko nahīñ merī tamanna kā lihāz
merī jānib se nazar pher ke jaane vaale
sochtā huuñ ki tirī chashm-e-karam hone tak
mujh ko afsāna banā deñge zamāne vaale
raunaq-e-bazm baḌhānā hī nahīñ kaam apnā
ham haiñ sahrā ko bhī gulzār banāne vaale
iqtizā vaqt kā jo chāhe karā le varna
ham na the ġhair ke ehsān uThāne vaale
kyā batāoge sabab girya-e-ġham kā 'nāzim'
pūchh baiTheñge agar tum se zamāne vaale
anjuman se mujhe is tarah uThane wale
ungliyan tujh pe uThaenge zamane wale
hae kuchh tujh ko nahin meri tamanna ka lihaz
meri jaanib se nazar pher ke jaane wale
sochta hun ki teri chashm-e-karam hone tak
mujh ko afsana bana denge zamane wale
raunaq-e-bazm baDhana hi nahin kaam apna
hum hain sahra ko bhi gulzar banane wale
iqtiza waqt ka jo chahe kara le warna
hum na the ghair ke ehsan uThane wale
kya bataoge sabab girya-e-gham ka 'nazim'
puchh baiThenge agar tum se zamane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.