apne dukh-dard ka afsana bana laya hun
apne dukh-dard kā afsāna banā laayā huuñ
ek ik zaḳhm ko chehre pe sajā laayā huuñ
dekh chehre kī 'ibārat ko khurachne ke liye
apne nāḳhun zarā kuchh aur baḌhā laayā huuñ
bevafā lauT ke aa dekh mirā jazba-e-ishq
āñsuoñ se tirī tasvīr banā laayā huuñ
maiñ ne ik shahr hamesha ke liye chhoḌ diyā
lekin us shahr ko āñkhoñ meñ basā laayā huuñ
itnī ġhaflat kī bhī niiñd achchhī nahīñ hotī hai
ai charāġho uTho dekho maiñ ziyā laayā huuñ
apne dukh-dard ka afsana bana laya hun
ek ek zaKHm ko chehre pe saja laya hun
dekh chehre ki 'ibarat ko khurachne ke liye
apne naKHun zara kuchh aur baDha laya hun
bewafa lauT ke aa dekh mera jazba-e-ishq
aansuon se teri taswir bana laya hun
main ne ek shahr hamesha ke liye chhoD diya
lekin us shahr ko aankhon mein basa laya hun
itni ghaflat ki bhi nind achchhi nahin hoti hai
ai charagho uTho dekho main ziya laya hun
- Book : Mehrab-e-ishq (Pg. 18)
- Author : Azm Shakrii
- Publication : Lamhe Lamhe Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.