apne hone ka ek ik pal tajraba karte rahe
apne hone kā ik ik pal tajraba karte rahe
nok-e-neza par bhī ham raqs-e-anā karte rahe
ik musalsal jañg thī ḳhud se ki ham zinda haiñ aaj
zindagī ham terā haq yuuñ bhī adā karte rahe
haath meñ patthar na thā chehre pe vahshat bhī na thī
phir vo kyā thā jis pe ham yuuñ qahqaha karte rahe
kuchh na kuchh to pesh-e-manzar meñ bhī shāyad thā kahīñ
kuchh pas-e-manzar bhī ham āb-o-havā karte rahe
be-talab baḌhtā rahā har lamha qarz-e-jāñ kā bojh
be-sabab hī har nafas ḳhud ko adā karte rahe
duur tak phailā diye kohsār jañgal vādiyāñ
rizq āñkhoñ ko diyā har pal nayā karte rahe
tum to ai ḳhushbū havāo us se mil kar aa ga.iiñ
ek ham the zaḳhm-e-tanhā.ī harā karte rahe
zahr ḳhud bote rahe ujlī havāoñ meñ 'kamāl'
chand sāñsoñ ko bhī ham be-zā.iqa karte rahe
apne hone ka ek ek pal tajraba karte rahe
nok-e-neza par bhi hum raqs-e-ana karte rahe
ek musalsal jang thi KHud se ki hum zinda hain aaj
zindagi hum tera haq yun bhi ada karte rahe
hath mein patthar na tha chehre pe wahshat bhi na thi
phir wo kya tha jis pe hum yun qahqaha karte rahe
kuchh na kuchh to pesh-e-manzar mein bhi shayad tha kahin
kuchh pas-e-manzar bhi hum aab-o-hawa karte rahe
be-talab baDhta raha har lamha qarz-e-jaan ka bojh
be-sabab hi har nafas KHud ko ada karte rahe
dur tak phaila diye kohsar jangal wadiyan
rizq aankhon ko diya har pal naya karte rahe
tum to ai KHushbu hawao us se mil kar aa gain
ek hum the zaKHm-e-tanhai hara karte rahe
zahr KHud bote rahe ujli hawaon mein 'kamal'
chand sanson ko bhi hum be-zaiqa karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.