apne hone ki arzani KHatm hui
apne hone kī arzānī ḳhatm huī
mushkil se ye tan-āsānī ḳhatm huī
tujh ko kyā ma.alūm hamārī bīnā.ī
kaise ho kar pānī-pānī ḳhatm huī
bahtā hai chup-chāp bichhaḌ kar choTī se
dariyā kī pur-shor ravānī ḳhatm huī
miTTī kī āvāz sunī jab miTTī ne
sāñsoñ kī sab khīñchā-tānī ḳhatm huī
dil par saare mausam biit ga.e 'jāved'
yaanī ḳhushbū-dār kahānī ḳhatm huī
apne hone ki arzani KHatm hui
mushkil se ye tan-asani KHatm hui
tujh ko kya malum hamari binai
kaise ho kar pani-pani KHatm hui
bahta hai chup-chap bichhaD kar choTi se
dariya ki pur-shor rawani KHatm hui
miTTi ki aawaz suni jab miTTi ne
sanson ki sab khincha-tani KHatm hui
dil par sare mausam bit gae 'jawed'
yani KHushbu-dar kahani KHatm hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.