apne kandhe pe jo har bojh uTha sakta hai
apne kandhe pe jo har bojh uTha sakta hai
Maqbool Husain Syed Karnal
MORE BYMaqbool Husain Syed Karnal
apne kāñdhe pe jo har bojh uThā saktā hai
vo zamīñ-zād falak apnā banā saktā hai
terī qurbat meñ ye pardes se aayā huā shaḳhs
chhoḌ kar tujh ko kahīñ aur bhī jā saktā hai
jis kī qismat meñ ho sāhil pe pahuñchnā us ko
ek tinke kā sahārā bhī bachā saktā hai
maiñ daraḳhtoñ pe koī naam nahīñ likh saktā
jo havā kī tarah aayā hai vo jā saktā hai
maiñ khilaune kī tarah dekh rahā huuñ 'maqbūl'
toḌne vaalā mujhe kitnā banā saktā hai
apne kandhe pe jo har bojh uTha sakta hai
wo zamin-zad falak apna bana sakta hai
teri qurbat mein ye pardes se aaya hua shaKHs
chhoD kar tujh ko kahin aur bhi ja sakta hai
jis ki qismat mein ho sahil pe pahunchna us ko
ek tinke ka sahaara bhi bacha sakta hai
main daraKHton pe koi nam nahin likh sakta
jo hawa ki tarah aaya hai wo ja sakta hai
main khilaune ki tarah dekh raha hun 'maqbul'
toDne wala mujhe kitna bana sakta hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 682)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.