apne KHun se jo hum ek shama jalae hue hain
apne ḳhuuñ se jo ham ik sham.a jalā.e hue haiñ
shab-parastoñ pe qayāmat bhī to Dhaa.e hue haiñ
jaane kyuuñ rañg-e-baġhāvat nahīñ chhupne paatā
ham to ḳhāmosh bhī haiñ sar bhī jhukā.e hue haiñ
mahfil-ārā.ī hamārī nahīñ ifrāt kā naam
koī ho yā ki na ho aap to aa.e hue haiñ
apne KHun se jo hum ek shama jalae hue hain
shab-paraston pe qayamat bhi to Dhae hue hain
jaane kyun rang-e-baghawat nahin chhupne pata
hum to KHamosh bhi hain sar bhi jhukae hue hain
mahfil-arai hamari nahin ifraat ka nam
koi ho ya ki na ho aap to aae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.