apne manzar se juda tha ek din
apne manzar se judā thā ik din
paanī sahrā meñ khaḌā thā ik din
niiñd uḌte hue qālīn pe thī
sāmne shahr-e-balā thā ik din
ka.ī sadiyoñ meñ nahīñ aa.egā
us ne ḳhat meñ jo likhā thā ik din
phir yahī baat na maiñ bhuul sakā
maiñ use bhuul gayā thā ik din
ik masarrat bharā din raakh huā
haath se phuul girā thā ik din
jhilmilātī huī lau yaad karo
koī iz.hār huā thā ik din
aañkh paanī meñ ghirī hai ab tak
jaane kyā us pe banā thā ik din
apne manzar se juda tha ek din
pani sahra mein khaDa tha ek din
nind uDte hue qalin pe thi
samne shahr-e-bala tha ek din
kai sadiyon mein nahin aaega
us ne KHat mein jo likha tha ek din
phir yahi baat na main bhul saka
main use bhul gaya tha ek din
ek masarrat bhara din rakh hua
hath se phul gira tha ek din
jhilmilati hui lau yaad karo
koi izhaar hua tha ek din
aankh pani mein ghiri hai ab tak
jaane kya us pe bana tha ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.