apni aankhon ko aqidat se laga ke rakh li
apnī āñkhoñ ko aqīdat se lagā ke rakh lī
terī dahlīz kī miTTī thī uThā ke rakh lī
tujh ko takte hī rahe raat bahut der talak
chāñd ke taaq meñ tasvīr sajā ke rakh lī
dil sī nau-ḳhez kalī terī mohabbat ke liye
sīñch ke jazboñ se pahlū meñ khilā ke rakh lī
is na.e saal ke svāgat ke liye pahle se
ham ne poshāk udāsī kī silā ke rakh lī
dam ulajhtā thā shab-e-tīra kā tārīkī se
is liye chāñd kī qindīl jalā ke rakh lī
apni aankhon ko aqidat se laga ke rakh li
teri dahliz ki miTTi thi uTha ke rakh li
tujh ko takte hi rahe raat bahut der talak
chand ke taq mein taswir saja ke rakh li
dil si nau-KHez kali teri mohabbat ke liye
sinch ke jazbon se pahlu mein khila ke rakh li
is nae sal ke swagat ke liye pahle se
hum ne poshak udasi ki sila ke rakh li
dam ulajhta tha shab-e-tira ka tariki se
is liye chand ki qindil jala ke rakh li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.