apni sansen meri sanson mein mila ke rona
apnī sāñseñ mirī sāñsoñ meñ milā ke ronā
jab bhī ronā mujhe siine se lagā ke ronā
qaid-e-tanhā.ī se niklā huuñ abhī jān-e-safar
mujh se milnā mujhe zulfoñ meñ chhupā ke ronā
itnā saffāk na thā ghar kā ye manzar pahle
tirī yādoñ ke charāġhoñ ko bujhā ke ronā
ham ne is tarah bhī kaaTī haiñ bahut sī rāteñ
dil ke ḳhush rakhne ko afsāne sunā ke ronā
kitne be-dard haiñ is des meñ rahne vaale
apne hāthoñ tujhe suulī pe chaḌhā ke ronā
ġham-e-daurāñ ne tire lutf kī mohlat hī na dī
ye bhī honā thā sar-e-shab tujhe pā ke ronā
apni sansen meri sanson mein mila ke rona
jab bhi rona mujhe sine se laga ke rona
qaid-e-tanhai se nikla hun abhi jaan-e-safar
mujh se milna mujhe zulfon mein chhupa ke rona
itna saffak na tha ghar ka ye manzar pahle
teri yaadon ke charaghon ko bujha ke rona
hum ne is tarah bhi kaTi hain bahut si raaten
dil ke KHush rakhne ko afsane suna ke rona
kitne be-dard hain is des mein rahne wale
apne hathon tujhe suli pe chaDha ke rona
gham-e-dauran ne tere lutf ki mohlat hi na di
ye bhi hona tha sar-e-shab tujhe pa ke rona
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 18.08.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.