Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni uljhan ko baDhane ki zarurat kya hai

Nadeem Gullani

apni uljhan ko baDhane ki zarurat kya hai

Nadeem Gullani

MORE BYNadeem Gullani

    apnī uljhan ko baḌhāne zarūrat kyā hai

    chhoḌnā hai to bahāne zarūrat kyā hai

    lag chukī aag to lāzim hai dhuāñ uTThegā

    dard ko dil meñ chhupāne zarūrat kyā hai

    umr bhar rahnā hai ta.abīr se gar duur tumheñ

    phir mire ḳhvāb meñ aane zarūrat kyā hai

    ajnabī rañg chhalaktā ho agar āñkhoñ se

    un se phir haath milāne zarūrat kyā hai

    aaj baiThe haiñ tire paas ka.ī dost na.e

    ab tujhe dost purāne zarūrat kyā hai

    saath rahte ho magar saath nahīñ rahte ho

    aise rishte ko nibhāne zarūrat kyā hai

    apni uljhan ko baDhane ki zarurat kya hai

    chhoDna hai to bahane ki zarurat kya hai

    lag chuki aag to lazim hai dhuan uTThega

    dard ko dil mein chhupane ki zarurat kya hai

    umr bhar rahna hai tabir se gar dur tumhein

    phir mere KHwab mein aane ki zarurat kya hai

    ajnabi rang chhalakta ho agar aankhon se

    un se phir hath milane ki zarurat kya hai

    aaj baiThe hain tere pas kai dost nae

    ab tujhe dost purane ki zarurat kya hai

    sath rahte ho magar sath nahin rahte ho

    aise rishte ko nibhane ki zarurat kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now