Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashk mere hain magar dida-e-nam hai us ka

Baqar Mehdi

ashk mere hain magar dida-e-nam hai us ka

Baqar Mehdi

MORE BYBaqar Mehdi

    ashk mere haiñ magar dīda-e-nam hai us

    ye jo hoñToñ pe tabassum hai karam hai us

    an-kahī baat bhalā likkhūñ to likkhūñ kaise

    saade kāġhaz pe koī raaz raqam hai us

    fāsle aise ki ik umr meñ tai ho na sakeñ

    qurbateñ aisī ki ḳhud mujh meñ janam hai us

    sañg-o-āhan baḌā shahr bhī vīrāna lage

    ye junūñ merā hai aur dasht-e-sitam hai us

    dard ban kar mire siine meñ paḌā rahtā hai

    ye mirā dil hai ki ik naqsh-e-qadam hai us kaa?

    ek tūfāñ tarah kab se kināra-kash hai

    phir bhī 'bāqar' mirī nazroñ meñ bharam hai us

    ashk mere hain magar dida-e-nam hai us ka

    ye jo honTon pe tabassum hai karam hai us ka

    an-kahi baat bhala likkhun to likkhun kaise

    sade kaghaz pe koi raaz raqam hai us ka

    fasle aise ki ek umr mein tai ho na saken

    qurbaten aisi ki KHud mujh mein janam hai us ka

    sang-o-ahan ka baDa shahr bhi virana lage

    ye junun mera hai aur dasht-e-sitam hai us ka

    dard ban kar mere sine mein paDa rahta hai

    ye mera dil hai ki ek naqsh-e-qadam hai us ka?

    ek tufan ki tarah kab se kinara-kash hai

    phir bhi 'baqar' meri nazron mein bharam hai us ka

    Source :
    • Book : Monthly Usloob (Pg. 524)
    • Author : Mushfiq Khawaja
    • Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi   180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
    • Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now