Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

asiron mein bhi ho jaen jo kuchh aashufta-sar paida

Iqbal Sohail

asiron mein bhi ho jaen jo kuchh aashufta-sar paida

Iqbal Sohail

MORE BYIqbal Sohail

    asīroñ meñ bhī ho jaa.eñ jo kuchh āshufta-sar paidā

    abhī dīvār-e-zindāñ meñ huā jaatā hai dar paidā

    kiye haiñ chāk-e-dil se bū-e-gul ne bāl-o-par paidā

    havas hai zindagānī to zauq-e-marg kar paidā

    ye musht-e-ḳhāk agar kar le par-o-bāl-e-nazar paidā

    to auj-e-lā-makāñ tak hoñ hazāroñ rahguzar paidā

    jamāl-e-dost pinhāñ parda-e-shams-o-qamar paidā

    yahī parde to karte haiñ taqāzā-e-nazar paidā

    mohabbat tere sadqe ne kar vo nazar paidā

    jidhar āñkheñ uThīñ hotā hai husn-e-jalvagar paidā

    shab-e-ġham ab manā.e ḳhair apne jeb o dāman

    rahe dast-e-junūñ baaqī to kar leñge sahar paidā

    mazāq-e-sar-bulandī ho to phir dair o haram kaise

    jabīñ-sā.ī fitrat ne kiye haiñ sañg-e-dar paidā

    nisār is lan-tarānī ke ye kyā kam hai sharaf us

    dil-e-ḳhuddār ne kar nigāh-e-ḳhud-nigar paidā

    javāno ye sadā.eñ aa rahī haiñ ābshāroñ se

    chaTāneñ chuur ho jaa.eñ jo ho azm-e-safar paidā

    vo shabnam sukūñ ho ki parvāne betābī

    agar uḌne dhun hogī to hoñge bāl-o-par paidā

    'suhail' ab pūchhnā hai inqilāb-e-āsmānī se

    hamārī shām-e-ġham bhī kabhī hogī sahar paidā

    asiron mein bhi ho jaen jo kuchh aashufta-sar paida

    abhi diwar-e-zindan mein hua jata hai dar paida

    kiye hain chaak-e-dil se bu-e-gul ne baal-o-par paida

    hawas hai zindagani ki to zauq-e-marg kar paida

    ye musht-e-KHak agar kar le par-o-baal-e-nazar paida

    to auj-e-la-makan tak hon hazaron rahguzar paida

    jamal-e-dost pinhan parda-e-shams-o-qamar paida

    yahi parde to karte hain taqaza-e-nazar paida

    mohabbat tere sadqe tu ne kar di wo nazar paida

    jidhar aankhen uThin hota hai husn-e-jalwagar paida

    shab-e-gham ab manae KHair apne jeb o daman ki

    rahe dast-e-junun baqi to kar lenge sahar paida

    mazaq-e-sar-bulandi ho to phir dair o haram kaise

    jabin-sai ki fitrat ne kiye hain sang-e-dar paida

    nisar is lan-tarani ke ye kya kam hai sharaf us ka

    dil-e-KHuddar ne kar li nigah-e-KHud-nigar paida

    jawano ye sadaen aa rahi hain aabshaaron se

    chaTanen chur ho jaen jo ho azm-e-safar paida

    wo shabnam ka sukun ho ya ki parwane ki betabi

    agar uDne ki dhun hogi to honge baal-o-par paida

    'suhail' ab puchhna hai inqilab-e-asmani se

    hamari sham-e-gham ki bhi kabhi hogi sahar paida

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    asiron mein bhi ho jaen jo kuchh aashufta-sar paida Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now