aur hi wo log hain jinko hai yazdan ki talash
aur hī vo log haiñ jin ko hai yazdāñ kī talāsh
mujh ko insānoñ kī duniyā meñ hai insāñ kī talāsh
maiñ nahīñ kahtā ki duniyā meñ hai ulfat kī kamī
mujh ko hai lekin isī jins-e-farāvāñ kī talāsh
bār-e-ḳhātir hai hayāt-e-pur-sukūn o pur-jumūd
maiñ vo sāhil huuñ jise rahtī hai tūfāñ kī talāsh
is jahāñ ko jab banā saktā hai vo rashk-e-iram
jaane kyuuñ insāñ ko hai firdaus-e-vīrāñ kī talāsh
ai sukūn-e-jāñ mujhe aisī hī hai terī talab
chashm-e-nam ko jis tarah rahtī hai dāmāñ kī talāsh
aur hi wo log hain jin ko hai yazdan ki talash
mujh ko insanon ki duniya mein hai insan ki talash
main nahin kahta ki duniya mein hai ulfat ki kami
mujh ko hai lekin isi jins-e-farawan ki talash
bar-e-KHatir hai hayat-e-pur-sukun o pur-jumud
main wo sahil hun jise rahti hai tufan ki talash
is jahan ko jab bana sakta hai wo rashk-e-iram
jaane kyun insan ko hai firdaus-e-viran ki talash
ai sukun-e-jaan mujhe aisi hi hai teri talab
chashm-e-nam ko jis tarah rahti hai daman ki talash
- Book : sheerazah (Pg. 45)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.