aur thoDa sa bikhar jaun yahi Thani hai
aur thoḌā sā bikhar jā.ūñ yahī Thānī hai
zindagī maiñ ne abhī haar kahāñ maanī hai
haath par haath dhare baiThe to kuchh miltā nahīñ
dasht o sahrā kī miyāñ ḳhaak kabhī chhānī hai
qatl ko qatl jo kahte haiñ ġhalat kahte haiñ
kuchh nahīñ zill-e-ilāhī kī ye nādānī hai
sahm jaate haiñ agar patta bhī koī khaḌke
jānte sab haiñ tirā zimma nigahbānī hai
apnī ġhairat kā samundar abhī sūkhā to nahīñ
buuñd bhar hī sahī āñkhoñ meñ abhī paanī hai
aur thoDa sa bikhar jaun yahi Thani hai
zindagi main ne abhi haar kahan mani hai
hath par hath dhare baiThe to kuchh milta nahin
dasht o sahra ki miyan KHak kabhi chhani hai
qatl ko qatl jo kahte hain ghalat kahte hain
kuchh nahin zill-e-ilahi ki ye nadani hai
sahm jate hain agar patta bhi koi khaDke
jaante sab hain tera zimma nigahbani hai
apni ghairat ka samundar abhi sukha to nahin
bund bhar hi sahi aankhon mein abhi pani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.