Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahar bahar sannaTa hai andar andar shor bahut

Umar Ansari

bahar bahar sannaTa hai andar andar shor bahut

Umar Ansari

MORE BYUmar Ansari

    bāhar bāhar sannāTā hai andar andar shor bahut

    dil ghanī bastī meñ yaaro aan base haiñ chor bahut

    yaad ab us aa na sakegī soch ke ye baiThe the ki bas

    khul ga.e dil ke saare darīche thā jo havā zor bahut

    maujeñ patvār baneñgī tūfāñ paar lagā.egā

    dariyā ke haiñ bas do sāhil kashtī ke haiñ chhor bahut

    maiñ bhī apnī jhoñk meñ thā kuchh vo bhī apne zo'm meñ thā

    hotī bhī hai kuchh mere yaaro pyaar kuchh Dor bahut

    fasl-e-ḳhizāñ to sah lekin mausam-e-gul meñ TuuT girī

    bojh phaloñ sah nahīñ paa.ī shāḳh ki thī kamzor bahut

    dil se uThā tūfān ye kaisā saare manzar Duub ga.e

    varna abhī to is jangal meñ naach rahe the mor bahut

    barsoñ baa'd milā hai mauqa' aao lagā leñ kashtī paar

    aaj to yaaro sannāTā hai dariyā ke us or bahut

    aaj yaqīnan meñh barsegā aaj giregī barq zarūr

    añkhiyāñ bhī pur-shor bahut haiñ kajrā bhī ghanghor bahut

    kis se kis sāthī chhūTā kis 'umar' kyā haal huā

    parbat parbat vaadī vaadī raat machā thā shor bahut

    bahar bahar sannaTa hai andar andar shor bahut

    dil ki ghani basti mein yaro aan base hain chor bahut

    yaad ab us ki aa na sakegi soch ke ye baiThe the ki bas

    khul gae dil ke sare dariche tha jo hawa ka zor bahut

    maujen hi patwar banengi tufan par lagaega

    dariya ke hain bas do sahil kashti ke hain chhor bahut

    main bhi apni jhonk mein tha kuchh wo bhi apne zo'm mein tha

    hoti bhi hai kuchh mere yaro pyar ki kuchh Dor bahut

    fasl-e-KHizan to sah li lekin mausam-e-gul mein TuT giri

    bojh phalon ka sah nahin pai shaKH ki thi kamzor bahut

    dil se uTha tufan ye kaisa sare manzar Dub gae

    warna abhi to is jangal mein nach rahe the mor bahut

    barson ba'd mila hai mauqa' aao laga len kashti par

    aaj to yaro sannaTa hai dariya ke us or bahut

    aaj yaqinan meinh barsega aaj giregi barq zarur

    ankhiyan bhi pur-shor bahut hain kajra bhi ghanghor bahut

    kis se kis ka sathi chhuTa kis ka 'umar' kya haal hua

    parbat parbat wadi wadi raat macha tha shor bahut

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now