baat be-baat ulajhte ho bhala baat hai kya
baat be-bāt ulajhte ho bhalā baat hai kyā
mere andar kī balāoñ se mulāqāt hai kyā
ham to us pastī-e-ehsās pe jiite haiñ jahāñ
ye bhī ma.alūm nahīñ jiit hai kyā maat hai kyā
dhund meñ Duub gayā dil kā muhaddab adsa
kaun batlā.e sar-e-arz-o-samāvāt hai kyā
dard kā ġhār-e-hirā dil meñ kiyā hai ta.amīr
mujh ko ma.alūm nahīñ tarz-e-ibādāt hai kyā
ai mire lafz kā qad nāpne vaale ye batā
tū jo aayā hai muqābil tirī auqāt hai kyā
baat be-baat ulajhte ho bhala baat hai kya
mere andar ki balaon se mulaqat hai kya
hum to us pasti-e-ehsas pe jite hain jahan
ye bhi malum nahin jit hai kya mat hai kya
dhund mein Dub gaya dil ka muhaddab adsa
kaun batlae sar-e-arz-o-samawat hai kya
dard ka ghaar-e-hira dil mein kiya hai tamir
mujh ko malum nahin tarz-e-ibaadat hai kya
ai mere lafz ka qad napne wale ye bata
tu jo aaya hai muqabil teri auqat hai kya
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 05.02.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.