Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDe jatan se baDe soch se utara gaya

KHalid Malik Sahil

baDe jatan se baDe soch se utara gaya

KHalid Malik Sahil

MORE BYKHalid Malik Sahil

    baḌe jatan se baḌe soch se utārā gayā

    mirā sitārā sar-e-ḳhāk bhī sañvārā gayā

    mirī vafā ne junūñ hisāb denā thā

    so aaj mujh ko bayābān se pukārā gayā

    bas ek ḳhauf thā zinda tirī judā.ī

    mirā vo āḳhirī dushman bhī aaj maarā gayā

    mujhe yaqīn thā is tajrabe se pahle bhī

    sunā hai ġhair se jalva nahīñ sahārā gayā

    sajā diyā hai tasavvur ne dhuup manzar

    agarche barf tasvīr se guzārā gayā

    milā hai ḳhaak se nisbat phir sila mujh ko

    mirā naam hai gardūñ se jo pukārā gayā

    maiñ dekhtā rahā duniyā ko duur se 'sāhil'

    mire makān se aage talak kinārā gayā

    baDe jatan se baDe soch se utara gaya

    mera sitara sar-e-KHak bhi sanwara gaya

    meri wafa ne junun ka hisab dena tha

    so aaj mujh ko bayaban se pukara gaya

    bas ek KHauf tha zinda teri judai ka

    mera wo aaKHiri dushman bhi aaj mara gaya

    mujhe yaqin tha is tajrabe se pahle bhi

    suna hai ghair se jalwa nahin sahaara gaya

    saja diya hai tasawwur ne dhup ka manzar

    agarche barf ki taswir se guzara gaya

    mila hai KHak se nisbat ka phir sila mujh ko

    mera hi nam hai gardun se jo pukara gaya

    main dekhta raha duniya ko dur se 'sahil'

    mere makan se aage talak kinara gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now