baghair saghar o yar-e-jawan nahin guzre
baġhair sāġhar o yār-e-javāñ nahīñ guzre
hamārī umr ke din rā.egāñ nahīñ guzre
hujūm-e-gul meñ rahe ham hazār dast darāz
sabā-nafas the kisī par girāñ nahīñ guzre
numūd un kī bhī daur-e-subū meñ thī kal raat
abhī jo daur-e-tah-e-āsmāñ nahīñ guzre
nuqūsh-e-pā se hamāre uge haiñ laala o gul
rah-e-bahār se ham be-nishāñ nahīñ guzre
ġhalat hai ham-nafaso un kā zindagī meñ shumār
jo din ba-ḳhidmat-e-pīr-e-muġhāñ nahīñ guzre
'zafar' kā mashrab-e-rindī hai ik jahāñ se alag
mirī nigāh se aise javāñ nahīñ guzre
baghair saghar o yar-e-jawan nahin guzre
hamari umr ke din raegan nahin guzre
hujum-e-gul mein rahe hum hazar dast daraaz
saba-nafas the kisi par giran nahin guzre
numud un ki bhi daur-e-subu mein thi kal raat
abhi jo daur-e-tah-e-asman nahin guzre
nuqush-e-pa se hamare uge hain lala o gul
rah-e-bahaar se hum be-nishan nahin guzre
ghalat hai ham-nafaso un ka zindagi mein shumar
jo din ba-KHidmat-e-pir-e-mughan nahin guzre
'zafar' ka mashrab-e-rindi hai ek jahan se alag
meri nigah se aise jawan nahin guzre
- Book : rang-e- gazal (Pg. 232)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : nazim majlis taraqqi adab lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.