bahaaron mein tilism-e-gul-ruKHan ka zikr karne do
bahāroñ meñ tilism-e-gul-ruḳhāñ kā zikr karne do
shamīm-e-kākul-e-ambar-fishāñ kā zikr karne do
vo jis se duur ho jaa.e ġham-e-jānāñ ġham-e-daurāñ
usī daur-e-sharāb-e-arġhavāñ kā zikr karne do
buḌhāpā duur hai zohd-o-vara.a jis kā taqāzā hai
javānī meñ to kuchh ishq-e-butāñ kā zikr karne do
ye sho.ale kis ne barsā.e ye ātish kis ne bhaḌkā.ī
zamīñ pe rahne vaalo āsmāñ kā zikr karne do
tabāhī tak to aa pahuñche ba-faiz-e-maġhfirat vaa.iz
ḳhudārā ab to mīr-e-kārvāñ kā zikr karne do
bahaaron mein tilism-e-gul-ruKHan ka zikr karne do
shamim-e-kakul-e-ambar-fishan ka zikr karne do
wo jis se dur ho jae gham-e-jaanan gham-e-dauran
usi daur-e-sharab-e-arghawan ka zikr karne do
buDhapa dur hai zohd-o-wara jis ka taqaza hai
jawani mein to kuchh ishq-e-butan ka zikr karne do
ye shoale kis ne barsae ye aatish kis ne bhaDkai
zamin pe rahne walo aasman ka zikr karne do
tabahi tak to aa pahunche ba-faiz-e-maghfirat waiz
KHudara ab to mir-e-karwan ka zikr karne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.