bahut kam haisiyat mein naqd-e-jaan hai
bahut kam haisiyat mein naqd-e-jaan hai
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
bahut kam haisiyat meñ naqd-e-jāñ hai
ḳhudā kī raah kā saudā girāñ hai
chhurī hai tiir hai teġh-o-sināñ hai
ye kis bekas kā āḳhir imtihāñ hai
talātum-ḳhez ye bahr-e-jahāñ hai
bhañvar meñ kashtī-e-umr-e-ravāñ hai
adā ho shukr kis kis kā ḳhudāyā
hazāroñ ne.amateñ haiñ ik zabāñ hai
tirā kūcha bahut achchhā hai lekin
mire rahne kī gunjā.ish kahāñ hai
azal kyā thā faqat ik vaqt-e-ta.alīm
abad kyā shai hai vaqt-e-imtihāñ hai
tirī sūrat hai dil ke aa.ine meñ
tirā hī naam ab vird-e-zabāñ hai
nahīñ duniyā maqām-e-aish-o-rāhat
jise dekho vo masrūf-e-fuġhāñ hai
ajal se sāmnā hotā hai ik din
ḳhizar bekār umr-e-jāvedāñ hai
uThātī hai sitam har bāġhbāñ ke
vo ik bulbul jo musht-e-ustuḳhvāñ hai
nahīñ duniyā ko istihkām hargiz
yahāñ 'mas.ūd' kyoñ fikr-e-makāñ hai
bahut kam haisiyat mein naqd-e-jaan hai
KHuda ki rah ka sauda giran hai
chhuri hai tir hai tegh-o-sinan hai
ye kis bekas ka aaKHir imtihan hai
talatum-KHez ye bahr-e-jahan hai
bhanwar mein kashti-e-umr-e-rawan hai
ada ho shukr kis kis ka KHudaya
hazaron neamaten hain ek zaban hai
tera kucha bahut achchha hai lekin
mere rahne ki gunjaish kahan hai
azal kya tha faqat ek waqt-e-talim
abad kya shai hai waqt-e-imtihan hai
teri surat hai dil ke aaine mein
tera hi nam ab wird-e-zaban hai
nahin duniya maqam-e-aish-o-rahat
jise dekho wo masruf-e-fughan hai
ajal se samna hota hai ek din
KHizar bekar umr-e-jawedan hai
uThati hai sitam har baghban ke
wo ek bulbul jo musht-e-ustuKHwan hai
nahin duniya ko istihkaam hargiz
yahan 'masud' kyon fikr-e-makan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.