bahut shiddat se jo qaem hua tha
bahut shiddat se jo qaa.em huā thā
vo rishta ham meñ shāyad jhuuT kā thā
mohabbat ne akelā kar diyā hai
maiñ apnī zaat meñ ik qāfila thā
mirī āñkhoñ meñ bārish kī ghuTan thī
tumhāre paañv bādal chūmtā thā
tumhārī hī galī kā vāqi.a hai
maiñ pahlī baar jab tanhā huā thā
khujūroñ ke daraḳhtoñ se bhī ūñchā
mire dil meñ tumhārā martaba thā
mohabbat is liye bhī kī ga.ī thī
hamārā sher kahnā mas.ala thā
mujhe ik phuul ne samjhā.ī duniyā
jo tere sabz bāġhoñ meñ khilā thā
zuhūr-e-ādam-o-havvā se pahle
hamāre vāste sab kuchh nayā thā
zamīñ par jab zamīnī mas.ale the
to bārish bhī mukammal vāqi.a thā
qadam uThne meñ kitnī barkateñ thiiñ
aur un hāthoñ meñ kaisā zā.iqa thā
phir is ke ba.ad raste mar ga.e the
maiñ bas ik saañs lene ko rukā thā
bahut shiddat se jo qaem hua tha
wo rishta hum mein shayad jhuT ka tha
mohabbat ne akela kar diya hai
main apni zat mein ek qafila tha
meri aankhon mein barish ki ghuTan thi
tumhaare panw baadal chumta tha
tumhaari hi gali ka waqia hai
main pahli bar jab tanha hua tha
khujuron ke daraKHton se bhi uncha
mere dil mein tumhaara martaba tha
mohabbat is liye bhi ki gai thi
hamara sher kahna masala tha
mujhe ek phul ne samjhai duniya
jo tere sabz baghon mein khila tha
zuhur-e-adam-o-hawwa se pahle
hamare waste sab kuchh naya tha
zamin par jab zamini masale the
to barish bhi mukammal waqia tha
qadam uThne mein kitni barkaten thin
aur un hathon mein kaisa zaiqa tha
phir is ke baad raste mar gae the
main bas ek sans lene ko ruka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.