bahut zindagi ka bhala chahta hun
bahut zindagī kā bhalā chāhtā huuñ
ba-alfāz-e-dīgar qazā chāhtā huuñ
mirī vahshatoñ kā sabab kaun samjhe
ki maiñ gum-shuda qāfila chāhtā huuñ
butoñ se huuñ bezār itnā ki bas ab
ḳhudā hī ḳhudā bas ḳhudā chāhtā huuñ
ye duniyā ye uqbā to sab chāhte haiñ
magar maiñ kuchh is ke sivā chāhtā huuñ
judāgāna haiñ ab yazīdī mazālim
so maiñ karbalā bhī judā chāhtā huuñ
anāsir kī zanjīr ko toḌ kar maiñ
fanā chāhtā huuñ baqā chāhtā huuñ
mujhe shak hai hone na hone pe 'ḳhālid'
agar huuñ to apnā patā chāhtā huuñ
bahut zindagi ka bhala chahta hun
ba-alfaz-e-digar qaza chahta hun
meri wahshaton ka sabab kaun samjhe
ki main gum-shuda qafila chahta hun
buton se hun bezar itna ki bas ab
KHuda hi KHuda bas KHuda chahta hun
ye duniya ye uqba to sab chahte hain
magar main kuchh is ke siwa chahta hun
judagana hain ab yazidi mazalim
so main karbala bhi juda chahta hun
anasir ki zanjir ko toD kar main
fana chahta hun baqa chahta hun
mujhe shak hai hone na hone pe 'KHalid'
agar hun to apna pata chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.