baKHsh de kuchh to etibar mujhe
baḳhsh de kuchh to e'tibār mujhe
pyaar se dekh chashm-e-yār mujhe
raat bhī chāñd bhī samundar bhī
mil ga.e kitne ġham-gusār mujhe
raushnī aur kuchh baḌhā jā.ūñ
soz-e-ġham aur bhī nikhār mujhe
kuchh hī din meñ bahār aa jaatī
aur karnā thā intizār mujhe
dekh duniyā ye paiñtare na badal
dekh shīshe meñ mat utaar mujhe
aa.ine meñ nazar nahīñ aatā
apnā chehra kabhī-kabhār mujhe
kis qadar shoḳh ho ke taktā thā
raat band-e-qabā-e-yār mujhe
dekh maiñ sā'at-e-masarrat huuñ
itnī ujlat se mat guzār mujhe
markab-e-ḳhāk par savār huuñ maiñ
dekh ai shahr-e-zar-nigār mujhe
rizq-e-maqsūm khā ke jiinā thā
khā ga.ī fikr-e-rozgār mujhe
baKHsh de kuchh to e'tibar mujhe
pyar se dekh chashm-e-yar mujhe
raat bhi chand bhi samundar bhi
mil gae kitne gham-gusar mujhe
raushni aur kuchh baDha jaun
soz-e-gham aur bhi nikhaar mujhe
kuchh hi din mein bahaar aa jati
aur karna tha intizar mujhe
dekh duniya ye paintare na badal
dekh shishe mein mat utar mujhe
aaine mein nazar nahin aata
apna chehra kabhi-kabhaar mujhe
kis qadar shoKH ho ke takta tha
raat band-e-qaba-e-yar mujhe
dekh main sa'at-e-masarrat hun
itni ujlat se mat guzar mujhe
markab-e-KHak par sawar hun main
dekh ai shahr-e-zar-nigar mujhe
rizq-e-maqsum kha ke jina tha
kha gai fikr-e-rozgar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.