bala ki dhup thi sari faza dahakti rahi
balā kī dhuup thī saarī fazā dahaktī rahī
magar vafā kī kalī shāḳh par chaTaktī rahī
bichhaḌte vaqt meñ us ko dilāsa detā rahā
vo be-zabāñ thī mujhe bebasī se taktī rahī
use ḳhabar thī ki ham ahl-e-dasht pyāse haiñ
jabhī to mauj kināroñ se sar paTaktī rahī
alam-nasīb to ro ro ke so ga.e āḳhir
magar malūl huā raat bhar sisaktī rahī
dam-e-judā.ī vo maryam salīb kī mānind
mire gale se baḌī der tak laTaktī rahī
maiñ aisī raah pe niklā ki merī ḳhush-baḳhtī
tamām umr mirī khoj meñ bhaTaktī rahī
bala ki dhup thi sari faza dahakti rahi
magar wafa ki kali shaKH par chaTakti rahi
bichhaDte waqt mein us ko dilasa deta raha
wo be-zaban thi mujhe bebasi se takti rahi
use KHabar thi ki hum ahl-e-dasht pyase hain
jabhi to mauj kinaron se sar paTakti rahi
alam-nasib to ro ro ke so gae aaKHir
magar malul hua raat bhar sisakti rahi
dam-e-judai wo maryam salib ki manind
mere gale se baDi der tak laTakti rahi
main aisi rah pe nikla ki meri KHush-baKHti
tamam umr meri khoj mein bhaTakti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.