barae nam sahi saeban zaruri hai
barā.e naam sahī sā.ebāñ zarūrī hai
zamīn ke liye ik āsmāñ zarūrī hai
ta.ajjub un ko hai kyuuñ merī ḳhud-kalāmī par
har aadmī kā koī rāz-dāñ zarūrī hai
zarūrat us kī hameñ hai magar ye dhyān rahe
kahāñ vo ġhair-zarūrī kahāñ zarūrī hai
kahīñ pe naam hī pahchān ke liye hai bahut
kahīñ pe yuuñ hai ki koī nishāñ zarūrī hai
kahāniyoñ se malāl un ko niiñd aane lagī
yahāñ pe is liye vo dāstāñ zarūrī hai
barae nam sahi saeban zaruri hai
zamin ke liye ek aasman zaruri hai
tajjub un ko hai kyun meri KHud-kalami par
har aadmi ka koi raaz-dan zaruri hai
zarurat us ki hamein hai magar ye dhyan rahe
kahan wo ghair-zaruri kahan zaruri hai
kahin pe nam hi pahchan ke liye hai bahut
kahin pe yun hai ki koi nishan zaruri hai
kahaniyon se malal un ko nind aane lagi
yahan pe is liye wo dastan zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.