Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bazm-e-suKHan ko aap ki dil-gir chal paDe

Asif Saqib

bazm-e-suKHan ko aap ki dil-gir chal paDe

Asif Saqib

MORE BYAsif Saqib

    bazm-e-suḳhan ko aap dil-gīr chal paḌe

    'ġhālib' ka.ī chale haiñ ka.ī 'mīr' chal paḌe

    jannat kyā bisāt ki vo chal ke aa.egī

    merī taraf to vādī-e-kashmīr chal paḌe

    harakat meñ aa ga.e haiñ sabhī rañg-e-ḳhāl-o-ḳhat

    un nazar ke sehr se tasvīr chal paḌe

    dekhā jo mujh ko aap palkeñ jhapak ga.iiñ

    ik jism-e-nā-tavāñ pe ka.ī tiir chal paḌe

    qaidī rihā hue the pahan kar na.e libās

    ham to qafas se oḌh ke zanjīr chal paḌe

    toḌā nahīñ hai shāḳh se ḳhush thī bakāolī

    ham le ke us ke phuul tasvīr chal paḌe

    pūchā kisī ne aap ko jaanā hai kis taraf

    ham log sū-e-vādī-e-kashmīr chal paḌe

    'sāqib' ham apne gaañv barbādiyoñ ke ba.ad

    is dil meñ le ke hasrat-e-tāmīr chal paḌe

    bazm-e-suKHan ko aap ki dil-gir chal paDe

    'ghaalib' kai chale hain kai 'mir' chal paDe

    jannat ki kya bisat ki wo chal ke aaegi

    meri taraf to wadi-e-kashmir chal paDe

    harakat mein aa gae hain sabhi rang-e-KHal-o-KHat

    un ki nazar ke sehr se taswir chal paDe

    dekha jo mujh ko aap ki palken jhapak gain

    ek jism-e-na-tawan pe kai tir chal paDe

    qaidi riha hue the pahan kar nae libas

    hum to qafas se oDh ke zanjir chal paDe

    toDa nahin hai shaKH se KHush thi bakaoli

    hum le ke us ke phul ki taswir chal paDe

    pucha kisi ne aap ko jaana hai kis taraf

    hum log su-e-wadi-e-kashmir chal paDe

    'saqib' hum apne ganw ki barbaadiyon ke baad

    is dil mein le ke hasrat-e-tamir chal paDe

    Source :
    • Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 609)
    • Author : Naseer Ahmed Nasir
    • Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
    • Edition : Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now