be-KHwab darichon mein kisi rang-mahal ke
be-ḳhvāb darīchoñ meñ kisī rañg-mahal ke
fānūs jalā.e haiñ umīdoñ ne ġhazal ke
yādoñ ke daraḳhtoñ kī hasīñ chhāñv meñ jaise
aatā hai koī shaḳhs bahut duur se chal ke
dukh dard ke jalte hue āñgan meñ khaḌā huuñ
ab kis ke liye ḳhalvat-e-jānāñ se nikal ke
sochoñ meñ dabe paañv chale aate haiñ aksar
bichhḌī huī kuchh sāñvlī shāmoñ ke dhundalke
be-KHwab darichon mein kisi rang-mahal ke
fanus jalae hain umidon ne ghazal ke
yaadon ke daraKHton ki hasin chhanw mein jaise
aata hai koi shaKHs bahut dur se chal ke
dukh dard ke jalte hue aangan mein khaDa hun
ab kis ke liye KHalwat-e-jaanan se nikal ke
sochon mein dabe panw chale aate hain aksar
bichhDi hui kuchh sanwli shamon ke dhundalke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.