bebasi ka jahan chhoD aae
bebasī kā jahān chhoḌ aa.e
us kā vahm-o-gumān chhoḌ aa.e
ham musāfir the tere kūche meñ
qarya qarya nishān chhoḌ aa.e
mujh se laḌne ko ab adū mere
apne tīr-o-kamān chhoḌ aa.e
ḳhauf phailā huā thā bastī meñ
log apne makān chhoḌ aa.e
dasht-e-ġhurbat meñ ham-safar na banā
ham ka.ī mehrbān chhoḌ aa.e
saḳht pahrā paḌā taḳhayyul par
ham adhūrā bayān chhoḌ aa.e
dosto ham zamīñ kī chāhat meñ
vus.at-e-āsmān chhoḌ aa.e
bebasi ka jahan chhoD aae
us ka wahm-o-guman chhoD aae
hum musafir the tere kuche mein
qarya qarya nishan chhoD aae
mujh se laDne ko ab adu mere
apne tir-o-kaman chhoD aae
KHauf phaila hua tha basti mein
log apne makan chhoD aae
dasht-e-ghurbat mein ham-safar na bana
hum kai mehrban chhoD aae
saKHt pahra paDa taKHayyul par
hum adhura bayan chhoD aae
dosto hum zamin ki chahat mein
wusat-e-asman chhoD aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.