bechaini ke lamhe sansen patthar ki
bechainī ke lamhe sāñseñ patthar kī
sadiyoñ jaise din haiñ rāteñ patthar kī
pathrā.ī sī āñkheñ chehre patthar ke
ham ne dekhīñ kitnī shakleñ patthar kī
gore hoñ yā kaale sar par barse haiñ
parkhī ham ne saarī zāteñ patthar kī
nīlāmī ke dar par bebas sharminda
ḳhāmoshī meñ lipTī āñkheñ patthar kī
dil kī dhaḌkan baḌhtī jaa.e sun sun kar
shīshagar ke lab par bāteñ patthar kī
andar kī ārā.ish-e-nāzuk kyā hogā
bāhar vaznī haiñ dīvāreñ patthar kī
aao mil kar un meñ DhūñDeñ ādam-zād
chaltī phirtī jo haiñ lāsheñ patthar kī
bechaini ke lamhe sansen patthar ki
sadiyon jaise din hain raaten patthar ki
pathrai si aankhen chehre patthar ke
hum ne dekhin kitni shaklen patthar ki
gore hon ya kale sar par barse hain
parkhi hum ne sari zaten patthar ki
nilami ke dar par bebas sharminda
KHamoshi mein lipTi aankhen patthar ki
dil ki dhaDkan baDhti jae sun sun kar
shishagar ke lab par baaten patthar ki
andar ki aaraish-e-nazuk kya hoga
bahar wazni hain diwaren patthar ki
aao mil kar un mein DhunDen aadam-zad
chalti phirti jo hain lashen patthar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.