bhalā-burā vo ḳhudā karegā
ġharīb to bas duā karegā
terī judā.ī ko yaad kar ke
ka.ī dafa dil bujhā karegā
milāyā hai jab ḳhudā ne ham ko
to kaun ham ko judā karegā
jiyeñge tere baġhair bhī ham
magar bahut dil dukhā karegā
kabhī miloge ye soch kar dil
hazār sapne bunā karegā
ye sāñseñ tere baġhair chup haiñ
tire binā dam ghuTā karegā
'ahad' vo ḳhud ko fareb degā
jo vaqt ko an-sunā karegā
bhala-bura wo KHuda karega
gharib to bas dua karega
teri judai ko yaad kar ke
kai dafa dil bujha karega
milaya hai jab KHuda ne hum ko
to kaun hum ko juda karega
jiyenge tere baghair bhi hum
magar bahut dil dukha karega
kabhi miloge ye soch kar dil
hazar sapne buna karega
ye sansen tere baghair chup hain
tere bina dam ghuTa karega
'ahad' wo KHud ko fareb dega
jo waqt ko an-suna karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.