bhar jaenge jab zaKHm to aaunga dobara
bhar jā.eñge jab zaḳhm to ā.ūñgā dobārā
maiñ haar gayā jang magar dil nahīñ haarā
raushan hai mirī 'umr ke tārīk chaman meñ
is kunj-e-mulāqāt meñ jo vaqt guzārā
apne liye tajvīz kī shamshīr-e-barahna
aur us ke liye shāḳh se ik phuul utārā
kuchh siikh lo lafzoñ ko baratne kā salīqa
is shuġhl meñ guzrā hai bahut vaqt hamārā
lab khole parī-zād ne āhista se 'sarvat'
joñ guftugū kartā hai sitāre se sitārā
bhar jaenge jab zaKHm to aaunga dobara
main haar gaya jang magar dil nahin haara
raushan hai meri 'umr ke tarik chaman mein
is kunj-e-mulaqat mein jo waqt guzara
apne liye tajwiz ki shamshir-e-barahna
aur us ke liye shaKH se ek phul utara
kuchh sikh lo lafzon ko baratne ka saliqa
is shughl mein guzra hai bahut waqt hamara
lab khole pari-zad ne aahista se 'sarwat'
jon guftugu karta hai sitare se sitara
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 48)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.