bhulā diyā hai jo tū ne to kuchh malāl nahīñ
ka.ī dinoñ se mujhe bhī tirā ḳhayāl nahīñ
abhī abhī to sitāre zamīñ pe utre haiñ
abhī se bazm se apnī mujhe nikāl nahīñ
hai dard tū hī davā tū hakīm tū hī marīz
tirā kamāl yahī hai tirī misāl nahīñ
faqat yaqīn pe chaltā hai zindagī kā safar
vagarna kaun hai jo Dho rahā savāl nahīñ
ḳhamoshiyoñ kī use kyuuñ na intihā kah duuñ
zabāñ ḳhamosh haiñ āñkhoñ meñ bhī savāl nahīñ
bhula diya hai jo tu ne to kuchh malal nahin
kai dinon se mujhe bhi tera KHayal nahin
abhi abhi to sitare zamin pe utre hain
abhi se bazm se apni mujhe nikal nahin
hai dard tu hi dawa tu hakim tu hi mariz
tera kamal yahi hai teri misal nahin
faqat yaqin pe chalta hai zindagi ka safar
wagarna kaun hai jo Dho raha sawal nahin
KHamoshiyon ki use kyun na intiha kah dun
zaban KHamosh hain aankhon mein bhi sawal nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.