bhul pae na tujhe aaj bhi rone wale
bhuul paa.e na tujhe aaj bhī rone vaale
tū kahāñ hai mirī āñkhoñ ko bhigone vaale
ham kisī ġhair ke ho jaa.eñ ye mumkin hī nahīñ
aur tum to kabhī apne nahīñ hone vaale
sochte haiñ ki kahāñ jā ke talāsheñ un ko
ham ko kuchh dost mile the kabhī khone vaale
ret ke jaisā hai ab to ye muqaddar merā
ḳhud bikhar jā.eñge ab mujh ko pirone vaale
dard aur ashk zamāne meñ azal se haiñ vahī
sirf badle haiñ har ik daur meñ rone vaale
peḌ ko apnā hī saaya nahīñ miltā logo
fasl apnī kabhī paate nahīñ bone vaale
dard ġhairoñ kā bhalā kaun uThātā hai 'sahāb'
sab yahāñ ḳhud kī salīboñ ko haiñ Dhone vaale
bhul pae na tujhe aaj bhi rone wale
tu kahan hai meri aankhon ko bhigone wale
hum kisi ghair ke ho jaen ye mumkin hi nahin
aur tum to kabhi apne nahin hone wale
sochte hain ki kahan ja ke talashen un ko
hum ko kuchh dost mile the kabhi khone wale
ret ke jaisa hai ab to ye muqaddar mera
KHud bikhar jaenge ab mujh ko pirone wale
dard aur ashk zamane mein azal se hain wahi
sirf badle hain har ek daur mein rone wale
peD ko apna hi saya nahin milta logo
fasl apni kabhi pate nahin bone wale
dard ghairon ka bhala kaun uThata hai 'sahab'
sab yahan KHud ki salibon ko hain Dhone wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.