Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bichhaD gaya hai kahan kaun kuchh pata hi nahin

Qamar Iqbal

bichhaD gaya hai kahan kaun kuchh pata hi nahin

Qamar Iqbal

MORE BYQamar Iqbal

    bichhaḌ gayā hai kahāñ kaun kuchh pata nahīñ

    safar meñ jaise koī apne saath thā nahīñ

    kisī se rabt baḌhā.eñ mat ḳhafā honā

    ki dil meñ ab tirī yādoñ silsila nahīñ

    sab apne apne masīhā ke intizār meñ haiñ

    kisī jaise zamāne meñ ab ḳhudā nahīñ

    ik umr kaT ga.ī kāġhaz siyāh karte hue

    qalam ko apne jo likhnā thā vo likhā nahīñ

    'qamar' vo shaḳhs hamāre nagar meñ kyā aayā

    butoñ ko bhī hai gila koī pūjtā nahīñ

    bichhaD gaya hai kahan kaun kuchh pata hi nahin

    safar mein jaise koi apne sath tha hi nahin

    kisi se rabt baDhaen tu mat KHafa hona

    ki dil mein ab teri yaadon ka silsila hi nahin

    sab apne apne masiha ke intizar mein hain

    kisi ka jaise zamane mein ab KHuda hi nahin

    ek umr kaT gai kaghaz siyah karte hue

    qalam ko apne jo likhna tha wo likha hi nahin

    'qamar' wo shaKHs hamare nagar mein kya aaya

    buton ko bhi hai gila koi pujta hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now