bite lamhe kashid karti hun
biite lamhe kashīd kartī huuñ
is tarah jashn-e-īd kartī huuñ
jab bhī jaatī huuñ shahr-e-shīshagarāñ
kuchh manāzir ḳharīd kartī huuñ
maiñ havāoñ se dushmanī le kar
kitne tūfāñ murīd kartī huuñ
merī āñkheñ mirā havāla haiñ
apnī āñkhoñ kī diid kartī huuñ
mire jazbe mirī shahādat haiñ
bahte aañsū shahīd kartī huuñ
sub.h taare ko dekh kar 'farruḳh'
apnī sub.heñ sa.iid kartī huuñ
bite lamhe kashid karti hun
is tarah jashn-e-id karti hun
jab bhi jati hun shahr-e-shishagaran
kuchh manazir KHarid karti hun
main hawaon se dushmani le kar
kitne tufan murid karti hun
meri aankhen mera hawala hain
apni aankhon ki did karti hun
mere jazbe meri shahadat hain
bahte aansu shahid karti hun
subh tare ko dekh kar 'farruKH'
apni subhen said karti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.