bismil ke taDapne ki adaon mein nasha tha
bismil ke taḌapne kī adāoñ meñ nasha thā
maiñ haath meñ talvār liye jhuum rahā thā
ghūñghaT meñ mire ḳhvāb kī tābīr chhupī thī
mehñdī se hathelī meñ mirā naam likhā thā
lab the ki kisī pyālī ke hoñToñ pe jhuke the
aur haath kahīñ gardan-e-mīnā meñ paḌā thā
hammām ke ā.īne meñ shab Duub rahī thī
cigarette se na.e din kā dhuāñ phail rahā thā
dariyā ke kināre pe mirī laash paḌī thī
aur paanī kī tah meñ vo mujhe DhūñDh rahā thā
mālūm nahīñ phir vo kahāñ chhup gayā 'ādil'
saaya sā koī lams kī sarhad pe milā thā
bismil ke taDapne ki adaon mein nasha tha
main hath mein talwar liye jhum raha tha
ghunghaT mein mere KHwab ki tabir chhupi thi
mehndi se hatheli mein mera nam likha tha
lab the ki kisi pyali ke honTon pe jhuke the
aur hath kahin gardan-e-mina mein paDa tha
hammam ke aaine mein shab Dub rahi thi
cigarette se nae din ka dhuan phail raha tha
dariya ke kinare pe meri lash paDi thi
aur pani ki tah mein wo mujhe DhunDh raha tha
malum nahin phir wo kahan chhup gaya 'adil'
saya sa koi lams ki sarhad pe mila tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.