bujhe ho, hath mayusi lagi hai kya
bujhe ho, haath māyūsī lagī hai kyā
dar-e-ulfat pe ab kunDī lagī hai kyā
abhī bhī tujh dar-e-dil par batā jānāñ
hamāre naam kī taḳhtī lagī hai kyā
samundar baukhalāyā phir rahā hai kyuuñ
kināre phir koī kashtī lagī hai kyā
hamīñ tum se hamesha milne aa.eñ kyuuñ
tumhāre paañv meñ mehñdī lagī hai kyā
kaTe haiñ par to kaTne do miyāñ socho
irādoñ par koī qaiñchī lagī hai kyā
jahāñ kal ishq par charchā huā ghanToñ
vahīñ ab husn kī manDī lagī hai kyā
haiñ āñkheñ surḳh lab zaḳhmī anā ghāyal
tire kirdār kī bolī lagī hai kyā
tirī galiyoñ se jo guzrā use jānāñ
bhalā duniyā kabhī achchhī lagī hai kyā
yaqīnan aaj be-parda vo nikle haiñ
vagarna chāñdnī phīkī lagī hai kyā
na duniyā hai na uljhan hai sukūñ hai bas
Thikāne ab mirī miTTī lagī hai kyā
kitābeñ ghar mire sūraj sī raushan haiñ
tire kamre meñ ye battī lagī hai kyā
zabāñ se aah kyā uf tak nahīñ niklī
to ab ke choT kuchh gahrī lagī hai kyā
miTā loge jihālat ko 'sikandar' tum
tumheñ bhī ye na.ī dhunkī lagī hai kyā
bujhe ho, hath mayusi lagi hai kya
dar-e-ulfat pe ab kunDi lagi hai kya
abhi bhi tujh dar-e-dil par bata jaanan
hamare nam ki taKHti lagi hai kya
samundar baukhalaya phir raha hai kyun
kinare phir koi kashti lagi hai kya
hamin tum se hamesha milne aaen kyun
tumhaare panw mein mehndi lagi hai kya
kaTe hain par to kaTne do miyan socho
iradon par koi qainchi lagi hai kya
jahan kal ishq par charcha hua ghanTon
wahin ab husn ki manDi lagi hai kya
hain aankhen surKH lab zaKHmi ana ghayal
tere kirdar ki boli lagi hai kya
teri galiyon se jo guzra use jaanan
bhala duniya kabhi achchhi lagi hai kya
yaqinan aaj be-parda wo nikle hain
wagarna chandni phiki lagi hai kya
na duniya hai na uljhan hai sukun hai bas
Thikane ab meri miTTi lagi hai kya
kitaben ghar mere suraj si raushan hain
tere kamre mein ye batti lagi hai kya
zaban se aah kya uf tak nahin nikli
to ab ke choT kuchh gahri lagi hai kya
miTa loge jihaalat ko 'sikandar' tum
tumhein bhi ye nai dhunki lagi hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.