but yahan milte nahin hain ya KHuda milta nahin
but yahāñ milte nahīñ haiñ yā ḳhudā miltā nahīñ
azm mustahkam to ho duniyā meñ kyā miltā nahīñ
ham-safīrān-e-junūñ yuuñ ham se aage baḌh ga.e
qāfila kyā hai ġhubār-e-qāfila miltā nahīñ
apnī sūrat dekhnā ho apne dil meñ dekhiye
dil sā duniyā meñ koī bhī aa.ina miltā nahīñ
de diyā hai aap ko dil ab hifāzat kījiye
har ḳhazāne meñ ye la.al-e-be-bahā miltā nahīñ
DhūñDhtā phirtā hai mujh ko kyuuñ fareb-e-rañg-o-bū
maiñ vahāñ huuñ ḳhud jahāñ apnā pata miltā nahīñ
but yahan milte nahin hain ya KHuda milta nahin
azm mustahkam to ho duniya mein kya milta nahin
ham-safiran-e-junun yun hum se aage baDh gae
qafila kya hai ghubar-e-qafila milta nahin
apni surat dekhna ho apne dil mein dekhiye
dil sa duniya mein koi bhi aaina milta nahin
de diya hai aap ko dil ab hifazat kijiye
har KHazane mein ye lal-e-be-baha milta nahin
DhunDhta phirta hai mujh ko kyun fareb-e-rang-o-bu
main wahan hun KHud jahan apna pata milta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.