Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chah kar hum us pari-ru ko jo diwane hue

Rangin Saadat Yaar Khan

chah kar hum us pari-ru ko jo diwane hue

Rangin Saadat Yaar Khan

MORE BYRangin Saadat Yaar Khan

    chaah kar ham us parī-rū ko jo dīvāne hue

    dost dushman ho ga.e aur apne begāne hue

    phir na.e sar se ye meñ hai ki dil ko DhūñDiye

    ḳhaak kūche tire muddat huī chhāne hue

    thā jahāñ mai-ḳhāna barpā us jagah masjid banī

    TuuT kar masjid ko phir dekhā to but-ḳhāne hue

    hai ye duniyā jā-e-ibrat ḳhaak se insān

    ban ga.e kitne subū kitne paimāne hue

    aql-o-hosh apne 'rañgīñ' ho gayā sab aur rañg

    kishvar-e-dil meñ jab aa kar ishq ke thāne hue

    chah kar hum us pari-ru ko jo diwane hue

    dost dushman ho gae aur apne begane hue

    phir nae sar se ye ji mein hai ki dil ko DhunDiye

    KHak kuche ki tere muddat hui chhane hue

    tha jahan mai-KHana barpa us jagah masjid bani

    TuT kar masjid ko phir dekha to but-KHane hue

    hai ye duniya ja-e-ibrat KHak se insan ki

    ban gae kitne subu kitne hi paimane hue

    aql-o-hosh apne ka 'rangin' ho gaya sab aur rang

    kishwar-e-dil mein jab aa kar ishq ke thane hue

    Source :
    • Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 72)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now