chaak kar kar ke gareban roz sina chahiye
chaak kar kar ke garebāñ roz siinā chāhiye
zindagī ko zindagī kī tarah jiinā chāhiye
ḳhud-kushī ke Tal ga.e lamhe to sochā muddatoñ
ye ḳhayāl aayā hī kyuuñ thā zahr piinā chāhiye
mashvara maujoñ se luuñ us paar jaanā hai mujhe
nā-ḳhudāoñ kā to kahnā hai safīna chāhiye
bā-salīqa log bhī haiñ be-salīqa log bhī
kis se kab miliye kahāñ miliye qarīna chāhiye
jab uThe tūfāñ to koī chiiz zad meñ ho 'shakīl'
har bulandī ke liye ik ābgīna chāhiye
chaak kar kar ke gareban roz sina chahiye
zindagi ko zindagi ki tarah jina chahiye
KHud-kushi ke Tal gae lamhe to socha muddaton
ye KHayal aaya hi kyun tha zahr pina chahiye
mashwara maujon se lun us par jaana hai mujhe
na-KHudaon ka to kahna hai safina chahiye
ba-saliqa log bhi hain be-saliqa log bhi
kis se kab miliye kahan miliye qarina chahiye
jab uThe tufan to koi chiz zad mein ho 'shakil'
har bulandi ke liye ek aabgina chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.