chalo farar-e-KHudi ka koi sila to mila
chalo farār-e-ḳhudī kā koī sila to milā
hamīñ mile nahīñ us ko hameñ ḳhudā to milā
nashāt-e-qarya-e-jāñ se judā huī ḳhushbū
safar kuchh aisā hai ab ke koī milā to milā
hamāre ba.ad rivāyat chalī mohabbat kī
nizām-e-ālam-e-hastī ko falsafa to milā
jo chhoḌ aa.e the taskīn-e-dil ke vāste ham
tumheñ ai jān-e-tamannā vo naqsh-e-pā to milā
savāl aa ga.e āñkhoñ se chhin ke hoñToñ par
hameñ javāb na dene kā fā.eda to milā
ye āh-o-girya-o-zārī kahīñ to kaam aa.ī
havā-e-dasht ko paanī kā zā.iqa to milā
namāz-e-asr nahīñ paḌh sakī mirī vahshat
junūn-e-ishq ko maidān-e-karbalā to milā
phir is ke ba.ad barāmad na ho sakā kuchh bhī
hamāre aañkh meñ jaltā huā diyā to milā
chalo farar-e-KHudi ka koi sila to mila
hamin mile nahin us ko hamein KHuda to mila
nashat-e-qarya-e-jaan se juda hui KHushbu
safar kuchh aisa hai ab ke koi mila to mila
hamare baad riwayat chali mohabbat ki
nizam-e-alam-e-hasti ko falsafa to mila
jo chhoD aae the taskin-e-dil ke waste hum
tumhein ai jaan-e-tamanna wo naqsh-e-pa to mila
sawal aa gae aankhon se chhin ke honTon par
hamein jawab na dene ka faeda to mila
ye aah-o-girya-o-zari kahin to kaam aai
hawa-e-dasht ko pani ka zaiqa to mila
namaz-e-asr nahin paDh saki meri wahshat
junun-e-ishq ko maidan-e-karbala to mila
phir is ke baad baramad na ho saka kuchh bhi
hamare aankh mein jalta hua diya to mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.