chalte hue mujh mein kahin Thahra hua tu hai
chalte hue mujh meñ kahīñ Thahrā huā tū hai
rasta nahīñ manzil nahīñ achchhā huā tū hai
ta.abīr tak aate hī tujhe chhūnā paḌegā
lagtā hai ki har ḳhvāb meñ dekhā huā tū hai
mujh jism kī miTTī pe tire naqsh-e-kaf-e-pā
aur maiñ bhī baḌā ḳhush ki are kyā huā tū hai
maiñ yuuñ hī nahīñ apnī hifāzat meñ lagā huuñ
mujh meñ kahīñ lagtā hai ki rakkhā huā tū hai
vo nuur ho aañsū ho ki ḳhvāboñ kī dhanak ho
jo kuchh bhī in āñkhoñ meñ ikaTThā huā tū hai
is ghar meñ na ho kar bhī faqat tū hī rahegā
dīvār-o-dar-e-jāñ meñ samāyā huā tū hai
chalte hue mujh mein kahin Thahra hua tu hai
rasta nahin manzil nahin achchha hua tu hai
tabir tak aate hi tujhe chhuna paDega
lagta hai ki har KHwab mein dekha hua tu hai
mujh jism ki miTTi pe tere naqsh-e-kaf-e-pa
aur main bhi baDa KHush ki are kya hua tu hai
main yun hi nahin apni hifazat mein laga hun
mujh mein kahin lagta hai ki rakkha hua tu hai
wo nur ho aansu ho ki KHwabon ki dhanak ho
jo kuchh bhi in aankhon mein ikaTTha hua tu hai
is ghar mein na ho kar bhi faqat tu hi rahega
diwar-o-dar-e-jaan mein samaya hua tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.